People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Nazaare Ho
Singer: Karthik Rao
Music: Karthik Rao
Lyricist: Durgesh Singh
Tag: hindi
Video:
Ho Dasturon Ko Dhata Bata Ke
Khud Ke Mann Ke Pata Batake
Window Seat Kari Hai Offer
Qismat Ne Phir Paas Bitha Ke

Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho
Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho

Uddne Ki Chahat Thhi Kacchi
Par Girne Ki Fitrat Thi Sacchi
Khone Ke Mausam Mein Yaaron
Kuch Paane Ki Aadat Hai Acchi

Ho Neend Ko Aankh Di Humne
Umeedon Ka Saath Nibhake
Window Seat Kari Hai Offer
Qismat Ne Phir Paas Bitha Ke



Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho
Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho

Tune Maine Sabne
Dekhe The Aune Paune
Aage Hoga Kya Pata
Log Baag Sab Ek Raag Hai
Apni Hi Dhun Tu Suna

Ho Sakht Chhaton Pe Ugaa Hai Bargad
Dekho Sabkuch Tod Taadke
Window Seat Kari Hai Offer
Qismat Ne Phir Paas Bitha Ke

Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho
Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho

Kuch Aadha Hoga Adhoora Hoga
Jo Apne Mann Ka Woh Poora Hoga
Param Ke Paani Mein Bhatkati Naavon Ka
Koyi Na Koyi Kinaara Hoga

Ho Jakdi Muthi Khol Hawa Mein
Baat Banegi Baat Baat Mein
Soch Saach Ke Kyun Hai Jeena
Kyun Jeena Hai Inch Naap Ke

Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho
Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho

Ho Dasturon Ko Dhata Bata Ke
Khud Ke Mann Ke Pata Batake
Window Seat Kari Hai Offer
Qismat Ne Phir Paas Bitha Ke

Ho Nazaare Ho, Nazaare Ho.
Jee Ke Dekhenge
Singer: Rankini Gupta
Music: Karthik Rao
Lyricist: Durgesh Singh
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/jee-ke-dekhenge/RxIDCUcBBkE
Video:
Honshlo Ko Lagi Nazar
Befikro Ko Huyi Fikar
Raat Ki Duaon Ka
Din Mein Kho Sa Gaya Asar

Tu Jab Paas Tha, Na Ehsaas Tha
Maaf Karde Galtiyan Humari

Tere Sang Na Sahi
Par Chal Ke Dekhenge
Tere Bin Hi Sahi
Hum Jee Ke Dekhenge

Tu Saath Ho Na Ho
Hum Raah Takte Rahenge
Tere Sang Na Sahi
Hum Jee Ke Dekhenge

Bezubaan Si Bhanwaron Ke
Man Mein Gham Ke Pehre Hai
Bhaagi Bhaagi Sadkon Pe
Ped Saare Thehre Hai

Tu Jab Paas Tha, Na Ehsaas Tha
Bhool Jaana Nadaniyan Humari

Haan.. Haan..

Zindagi Kahan Rukegi
Log Saare Kehte Hain
Sunke Sabki Baaton Ko Hum
Khoye Khoye Se Rehte Hain

Tu Jab Paas Tha, Yeh Ehsaas Tha
Door Hongi Uljhanein Humari

Tere Sang Na Sahi
Par Chal Ke Dekhenge
Ho Tere Bin Hi Sahi
Hum Jee Ke Dekhenge

Tu Saath Ho Na Ho
Hum Raah Takte Rahenge
Oh Tere Sang Na Sahi
Hum Jee Ke Dekhenge.